Tuesday, January 13, 2015

Aao Mere Nabi Ki Shaan Suno

Aao mere Nabi ki shaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Habib Pyaara nazar uthaye
Ho Maula Qibla badal de
Kahi Ye chahat kahi yeh kehna
Aye Moosa aana sambhal ke
Khuda hai in pe meher baan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi ka sajda hua hai lamba
Hussain pusht pe baithe
Tere nawase ke jin Ke jorre
Khuda ne Khuld se bheje
Hai Jibraeel bhi darban suno
Nabi hai bolta Quran suno

Namaze di thi pachas Rab ne
Nabi ne panch karayi
Hai dekho kitna khayal ummat
Nabi ne baat banayi
Wahi hai Arsh ka mehmaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi ke aashiq Bilal e Habashi
Hai jin ke Arsh pe charche
Bilal Jab bhi Aazan dete
Sahaba ishq me rote
Bilal e Habshi ki Aazan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi Ke azmat pe pehra dena
Raza ne hum ko sikhaya
Nabi ka dushman hai apna dushman
Raza ne hum ko bataya
Raza e Ishq ki pehchan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Husaini jazba ubharta Hai
Ali ke naam ka naara
Yazidiyo ko pacharta hai
Ali ke naam ka naara
Ali hai Mustafa ki Shaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Nabi Ke nazre rahe Ujager
Isi se apna guzara
Nabi ka saya rahe salamat
Yahi hai apna sahara
Nabi ke kitna hai ehsaan suno
Nabi hai bolta Quran suno

Qasida Burdah

Chorus: Mawlaya salli wa sallim dai’man, da’iman, daiman, abadan ala habibi ka khayril khalqi kullihimi (x3)
Muhammadun sayyidul kawnaini wa thaqalayn (x2)
Wal fareeqaini min urbiw wamin ajami

Chorus

Nabbiyunal aameerun naahi falaa ahadunn (x2)
Abarra fi qawli laa min huwala na’ami

Chorus

Huwal habibulladhi turja shafaa atuhu (x2)
Likulli haw liminal ahwaali muqtahami

Chorus

Sallalahu alaihi wassallam, Sallalahu alaihi wassallam, Sallalahu alaihi wassallam, Sallalahu alaihi wassallam
Subh tayba mein huwee bat taa hai baara noor ka;

Sadqa leyne noor kaa aaya hai taara noor kaa;
Baagh tayba mein suhaana phool phoola noor kaa;

Mast buu hai bulbulen parti hain kalima noor kaa;
Baarahween ke chand ka mujra hai sajda noor kaa;

Baarah burjon se jhuka ik ik sitaara noor kaa;
Tere hi maathe rahaa ay jaan sahaaraa noor kaa;

Bakht jaaga noor kaa chamka sitaara noor kaa;
Main gadaa tuu baadshah bhar de piyaala noor kaa;

Noor din dunaa tera dey daal sadqaa noor kaa;
Taaj wale dekh kar tera imaama noor kaa;

Sar jhuka te hai illahi bol baala noor kaa;
Chaand jhuk jaata jidhar unglee utaate mahd meid;

Kya hi chalta ta ishaaro par khilawna noor kaa;
Teri nasl paak mein hai bachcha bachcha noor kaa;

Tuu hai ayn e noor teraa sab gharaana noor kaa;
Ey raza ye ahmed noori ka faiz eh noor hai;

ho gayee meri ghazal badh kar qaseeda noor kaa;
Subh Tayba mein huwee bat taa hai baara noor kaa
Sadqa leyne noor kaa aaya hai taara noor kaa

Mawla ya salli wa sallim daiman abadan
ala habibi kaa khayril khalqi kull lihimi

Baghdad wale dulha

Chorus:
Baghdad wale dulha roshan zameer (x2)
Mere peeran-e-peer mere peeran-e-peer (x2)

Khuda ke fazl se hum par he saaya gauth-e-azam ka (x2)
Hamai dono jahaan mai hai Sahara gauth-e-azam ka (x2)

Chorus

Mureedi la takhaf keh kar tassali de gulamo Ko (x2)
Qayamat tak rahai be khauf banda gauth-e-azam ka.

Chorus

Azeezo kar chuko tayyar jub merai janaze ko (x2)
To likhde Na kafan par naam-e- wala gauth-e-azam ka (x2)

Chorus

Farishte roktai kyun ho muje jannat me jaane se (x2)
Ye dekho haath mai daman hai kiska gauth-e-azam ka

Chorus

Farishte badra sai tak saath pohcha ne ko jatte thai (x4)
Ye darbar-e-elahi mai ye rutbaa gauth-e-azam ka

Chorus

Gayai ek vaqt mai sattar mureedo key yahaan aaka (x4)
Samaj mai aanahi sakhta mu’ama gauth-e-azam ka

Chorus

Mukhalif kya kare mera ke hai behad karam muj par (x4)
Khuda ka rehmatullil aalami ka gauth-e-azam kah (x2)
Nedadai ga munadee hashr mai yu qadrariyo ko
idhar hai qadri kar lei nazara gauth-e-azam

Chorus

Kuch ghum he nahi aastanai  paak ke kuttai (x4)
Zamana pal raha hai khaa kai-e-tukhra gauth-e-azam ka

Chorus

Agar che murg sab ke bol kar khamosh hotai hei (x4)
Magar ha murg bole gaa hamesha gauth-e-azam ka

Chorus

Jameele qadri sojan se qurban apne murshid par (x4)
Banaya jis ne hum jeso ko banda gauth-e-azam ka
Chorus

Peero ke aap peer hai ya gauth-e-almadad (x4)
Ehle safa ke meer hai ya gauth-e-almadad

Chorus

Terai hi haath laaj hai yaa peer dastageer (x2)
Hum tujh se dastageer hai ya gauth almadad (x2)
Sadqah rasool –e- paak ka joli mai daal do (x4)
Hum qadri fakeere hai ya gauth almadad

Chorus

Dil ke sunaye Akhtar dil ke zaban mai (x4)
Kehte hai behtai meer hai ya gauth almadad

Ek main hi nahi un par

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai
Jo Rab-E-Do Aalam Ka Mahboob Yagana Hai

Kal Pul Se Hame Jisne Khud Par Lagana Hai
Zahra Ka Wo Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai

Aao Dar-E-Zahra Par Pehlaye Huwe Daman
Ye Nasle Kareemon Ki Lajpal Gharana Hai

Purnoor Si Rahein Hain Ghumbad Pe Nighein Hain
Jalwe Bhi Anokhein Hain Manzar Bhi Suhana Hai

Izzat Se Na Marjaye Kyun Naam-E-Mohammad Par
Yunhi To Kanbhi Hamne Din Duniya Se To Jana Hai

Ye Keh Ke Dar-E-Haq Se Li Maut Main Kuch Mauhlath
Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai

Mehroom-E-Karam Isko Rakhiye Na Saare Mehshar
Jaisa Hai Naseer Aaqir Saael To Purana Hai

Kaaba dikha de maula

Qaaba dikhade moula
Alllahu allah allahu allah

Har aankh chahti hai
Qaaba dikhade moula
Hasrat pukarti hai
qaaba dikhade moula

Kohe safa se doudu marva chotiye tak
Khwahish machal rahi hai
qaaba dikhaade moula

Allaahu allah
Ehram fir pehan kar toufe haram karu mai
Allah me re allah mere
Meri dua yahi hai
qaba dikha de moula

Minar unche unche dikhlade tu haram ke
pasti me jindagi hai
qabaa dikhade moula

Yaade haram me aansu bahane ko ro rahe hai
Allah mere alah mere
Ek aag si lagi hai
qaaba dikhade moula

Haalaat ka hu mara
daman mera hai khali
asbaab ki kami hai
qaaba dikhade moula

Ye multajam se jakar lipta rahe ujagar
Ye aaraju badi hai
qaaba dikhade moula

Meri Kismat Jagane Ko

Mayree kismat jagaanay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Ghamo ki doop ho ya phir hawaa-ain tayz chaltee ho,
Mayray iss aashiyaan nay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron gham mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Khushi ho ya koee gham ho, nabi ka naam layta ho,
Kay har ik gham bulaanay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron gham mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Nabi ka naam layta hoon, sukoon-e-qalb miltaa hay,
Nabi kay iss deewaanay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron gham mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Jo poocha kamli waalay nay, kahaa siddeeq akbar nay,
Mayray saaray garaanay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron gham mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Soolagti aag par habshi, kay honton say sadaa aa ee,
Mayree bigree banaanay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron gham mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Yayhee kehta hay shahid be, yayhee sab log kehtay hay,
Kay iss saaray zamaanay ko, nabi ka naam kaafi hay,
Hazaaron gham mittaa nay ko, nabi ka naam kaafi hay.

Qasida Burda (Arabic)

Mawlaya salla wa sallim da’iman abadan
Ala Habibika khayri al-khalqi kullihimi

Da’a ila Allahi, fa al-mustamsikuna bihi
Mustamsikuna bi hablin ghayra munfasimi

Muhammadun sayyid al-kawnayni wa ath-thaqalayn
Wa’l fariqayni min ‘urbin wa min ‘ajami

Faqa an-nabiyyina fi khalin wa fi khuluqin
Wa lam yudanuhu fi ‘ilmin wa la karami

Huwa al-habib alladhi turja shafa’atahu
Likulli hawlin min al-ahwali muqtahimi

Fa mablagha al-‘ilmi annahu basharun
Wa annahu khayru khalqi Allahi kullihimi

Akrim bi-khalqi nabiyyin za nahu khuluqun
Bil-husni mushtamilin bil-bishri muttasimi

Ka az-zahri fi tarafin, wa al-badri fi sharafin
Wa al-bahri fi karamin wa ad-dahri fi himami

Sarayta min haramin laylan ila haramin
Kama sara al-badru fi dajin min ath-thulami

Wa bitta tarqa ila an-nilta manzilatan
Min qqabi qawsayni lam tudrak wa lam turami

Fa inna fadhla rasulillahi laysa lahu
Haddun fa yu’ribu ‘anhu natiqun bi fami

Ka annama lu’lu al-maqnuni fi sadafin
Min ma’danay mantiqin minhu wa mubtasami

Who Is The Loved One?

Who is the Loved One? Allah
Who is Ar-Rahman? Allah
Who is al-Mannan?
Chorus
La ilaha illa Allah
Muhammadun Rasulu Allah,
Muhammad is the Messenger
To Allah is our return
La illaha illa Allah
Muhammadun Rasulu Allah (2)
Allah; Allah;
Allahu Akbar (2)
All praise is due to
The One and the Only
He is the Master
Of all creation (2)
He’s the Sustainer
And the Maintainer
Of the whole universe
Chorus
He gave us life
He gave us light (2)
He sent to guide us
Rasula Allah
Allah
Rahmanun Jabbarun Mannanun Tawwabun Karim
Allah
Ghafurun Raufun Saburun Shakurun Halim
[Some of the names of Allah]
Who is the Loved One? Allah
Who is al Basir? Allah
Who is al Khabir?
Chorus
Any one who fails
To see all the signs
Of His existence
That He has spread around
Will be completely blind
Walking in the desert sands
Having no peace of mindWho is the Loved One? Allah
Who is al-Majid? Allah
Who is al-Hamid?

Give thanks to Allah

Allah is Ghefor Allah is Rahim Allah is the one who loves the Mohsinin,Give thanks to Allah,
for the moon and the stars
prays in all day full,
what is and what was
take hold of your iman
dont givin to shaitan
oh you who believe please give thanks to Allah.
Allahu Ghefor Allahu Rahim Allahu yuhibo el Mohsinin,
hua Khalikhone hua Razikhone whahoa ala kolli sheiin khadir

Allah is Ghefor Allah is Rahim Allah is the one who loves the Mohsinin,
he is a creater, he is a sistainer and he is the one who has power over all.

Give thanks to Allah,
for the moon and the stars
prays in all day full,
what is and what was
take hold of your iman
dont givin to shaitan
oh you who believe please give thanks to Allah.
Allahu Ghefor Allahu Rahim Allahu yuhibo el Mohsinin,
hua Khalikhone hua Razikhone whahoa ala kolli sheiin khadir
he is a creater, he is a sistainer and he is the one who has power over all.

Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho

Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki
Jannat Mein Le Kar Jayegi Chahat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Chalta Hoon Mein Bhi Qaafilon Walon Ruko Zara
Milnay Do Buss Mujhay Bhi Ijazat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Poochay Jou Deen-O-Iman Nakeerayn Qabr Mein
Uss Waqt Mere Lab Pe Ho Midhat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Tarpa Ke Unke Qadmon Mein Mujhko Giraday Showk
Jiss Waqt Ho Lehed Mein Ziyarat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Sarkar صلی اللہ علیھ وسلم Ne Bulakay Madina Dekha Diya
Hogi Mujhe Naseeb Shafa'at Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Ya Rub Dekha De Aaj Ki Shab Jalwa-e-Habeeb صلی اللہ علیھ وسلم

Ik Baar Tou Ata Ho Ziyarat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Daaman Me Unke Le Lo Panah Aaj Najdiyo
Mahengi Paregi Warna Adavat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Tou Hai Ghulam Unka Ubaid-e-Raza Tere
Mehshar Mein Hogi Saath Himayat Rasool صلی اللہ علیھ وسلم Ki

Har waqt Tasawwur mein

Har waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas'sar woh ghadi ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

AQA ka gada hoon ai jahan'nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

An Nabi Sallo Alaih

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah

An Nabi Sallo Alaih - Salawathullah Alaih - Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih

An Nabi Ya Halireen - Iilamoo Ilmal Yaqeen – Anna Rabbal Aalameen Wa Rala Salla Alaih

An Nabi Sallo Alaih - Salawathullah Alaih - Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih

Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..

Kaabe Ke Badrud Duja - Thum Pe Karodon Durood
Tayba Ke Shamsud Duha - Thum Pe Karodon Durood
Shafiye Roze Jaza - Thum Pe Karodon Durood – Dafiye Jumla Bala Thum Pe Karodon Durood

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah

An Nabi Ya Man Halar – An Nabi Khairul Bashar – Man Lahu Shaqqul Qamar – Wa Nazil Sallim Alaih

Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..

Dil Karo Thandha Mera Wo – Kafe Pa Chaand Sa – Seene Pe Rakdho Zara - Thum Pe Karodon Durood

Zaat Hui Intikhab – Wasf Hue La Jawab – Naam Hua Mustafa - Thum Pe Karodon Durood

Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Dhakal Uroos – Dhikruhu Yuhyin Nufoos – An Nasaara Wal Majoos – Aslamoo Ala Yadaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Be Hunar Be Tameez – Kiske Hue Hain Azeez – Ik Thumare Siwa - Thum Pe Karodon Durood
Aas Hai Koi Na Paas – Ik Thumaari Hai Aas – Bas Hai Yahin Aasra - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
Seena Ke Hai Daag Daag – Kehdo Karen Baag Baag – Tayba Se Aake Saba - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabiyyul Mustafa – Ibn Zamzam Was Safa – Man Taa’la Sharafa – Kulluhum Salla Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
An Nabiyyul Mujtafa – An Nabi Saakin Quba – Hubbuhu Li Madhaba – Rabbana Salla Alaih

Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Thum Se Jahan Ka Nizaam - Thum Pe Karodon Durood
Thum Pe Karodon Sana - Thum Pe Karodon Durood
Thum Ho Jawado Kareem – Thum Ho Rawoofo Raheem
Bheek Ho Data Ataa - Thum Pe Karodon Durood
Khalq Ke Haakim Ho Thum – Rizq Ke Qaasim Ho Thum
Thum Se Mila Jo Mila - - Thum Pe Karodon Durood
Nafii Wo Dafii Ho Thum – Shaafii Wo Rafii Ho Thum
Thum Se Bas Afzon Khuda - - Thum Pe Karodon Durood
Shaafee Wo Naafee Ho Thum – Kaafee Wo Daafee Ho Thum
Dard Ko Kardo Dawa - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
Barse Karam Ki Bharan – Bhoole Niam Ke Chaman
Aysi Chala Do Hawa - Thum Pe Karodon Durood
Kiyoon Kahoon Be Kas Hun Main - Kiyoon Kahoon Be Bas Hun Main
Thum Ho Main Thum Pe Fida - Thum Pe Karodon Durood
Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Habeeballah Ya Habeeballah
An Nabi Dhaakal Maleeh – Qawaluhu Qawlu Saheeh – Wal Quran Shaiun Faseeh – Alladee Unzil Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2) An Nabi..
Karke Thumare Gunaah – Maanghe Thumaari Panaa
Thum Kaho Daaman Men Aa - Thum Pe Karodon Durood
Ham Ne Khata Men Na Ki – Thum Ne Ataa Men Na Ki
Koi Kamee Sarwara - Thum Pe Karodon Durood
Aankh Ata Keejiye – Us Men Ziya Deejiye – Jalwa Qareeb Aagaya- Thum Pe Karodon Durood
Kaam Oh Le Leejiye – Thumko Jo Raazee Kare – Theek Ho Naame Raza- Thum Pe Karodon Durood
Wal Hasan Thummal Husain – Lin Nabi Raihaanatain – Fathima Qurrathu Ayn – Jadduhum Sallo Alaih
An Nabi Sallo Alaih - Salawathullah Alaih - Wa Yanaalul Barakah Kullu Man Salla Alaih
Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah Allaah..Allaah (2)
Ye Ubaid Adna Ghulam – Tera Hai Khairul Anam – Waqt Midhat Keliye – Is Ki Ho Umr Tamam

Aqa aqa bol banday aqa aqa bol

Aqa aqa bol banday aqa aqa bol
Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol

Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho
Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho
Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol

Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay
Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay
Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol

Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn
Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn
Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol

Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun
Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun
Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol

Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan
Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan
Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol

Haq Allah

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah
Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah…

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Aye Mujahid e Nabi naat gungunaye jaa
Naghma e Muhammadi tu jhoom kar sunaye jaa
Do jahan pay chaye jaa zarb e Haq lagaye jaa.

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Parcham e Nabi utha lay Khuda ka aasra
Dars e Murshidi hay yeh Haq pay zindagi luta
Haq pay jaan lutaye ja zarb e Haq lagaye jaa

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Baat kar tu baad main pehlay tu salaam kar
Joo terey buzurg hain un ka ihtaram ker
Unn say faiz paye jaa zarab-e-Haq lagaye jaa

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Shukar kar Khuda ka tu tujh ko yeh watan mila
Pak sarzameen mili aur yeh chaman mila
Sar ko tu jhukaye ja zarab-e-Haq lagaye ja

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Jhoot bolna nahin tum kabhi zabaan say
Lanat e Khuda hai yeh daikh lo Quran say
Sach kay geet gaye ja zarb-e-Haq lagaye ja

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Apnay murshidi ka dil iss tarah say shaad kar
Joo sabaq milay tujhay tu dil laga kay yaad kar
Unn say faiz paye jaa zarab-e-Haq lagaye jaa

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Aaye jo Ramadan rozoon ka Ihtamam kar
Khaa tu Rab ki naimtain zikr uss ka aam kar
Zikr tu sunaye ja zarb-e-Haq lagaye jaa

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Aarzo ki hai dua aour rahay sukhi sada
Meharban Aaqa hoon aur karam karay Khuda
Madani rang mein rangata ja zarab-e-Haq lagaye jaa

Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah, Haq Allah

Zameen Maili Nahi Hoti

Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Zameen mali nahi hoti, zaman maila nahin hota
Muhammad (SAW) kay gulamon ka kafan maila nahi hota.
Mohabbat Kamli wale say, woh jazba hai suno logo
Yeh jis man main sama jaaye, woh mann maila nahi hota.
Muhammed (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Gulon ko choom laite, hain seharnam shabnami qatre
Nabi (SAW) ki naat sun lein tu, chaman maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.
Jo Naam-e-Mustafa (SAW) chumein, nahi dukhti kabhi ankhein

Pehen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota.
Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahi hota
Nabi (SAW) ka daman-e-rehmat pakar lo aey jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon main, chalan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota
Main nazan tu nahi fanpan magar Nasir yeh dawa hai
Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota.
Muhammad (SAW) ke gulamon ka kafan maila nahi hota.

Ai habibe ahmed e mujtaba

Ai Habib e Ahmed e Mujtaba Dil e Mubtala Ka Salam Lo
Jo Wafa Ki Raah Me Kho Gaya Usi Gum Shuda Ka Salam Lo

Mai Talab Se Baaz Na Aaunga Tu Karam Ka Haath Badhaye Ja
Jo Tere Karam Se Hai Aashna Usi Aashna Ka Salam Lo

Meri Haazri Ho Madine Me Mile Lutf Mujh Ko Bhi Jine Me
Tera Noor Ho Mere Seene Me Meri Iss Duaa Ka Salam Lo

Koi Mar Raha Hai Bahisht Par Koi Chahata Hai Najaat ko
Mai Tujhi Ko Chahu Khuda Kare Meri Is Duaa ka Salam Lo

Wo Hussain Jisne Chidak Ke Khun Chaman E Wafa Ko Hara Diya
Usi Jaa(n) Nisar Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo

Tamam Auliya Ke Buland Sar Hai Qadam Pe Jinke Jhuke Huve
Usi Pyare Ghous Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo

Yehi Roz O Shab Hai Duaa Meri Ke Maru To Tere Dayaar Me
Yahi Mud-dua E Hayat Hai Isi Mud-dua Ka Salam Lo

Hasbi rabbi jallallah

O Allah the Almighty
Protect me and guide me
To your love and mercy
Ya Allah don’t deprive me
From beholding your beauty
O my Lord accept this plea

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi ghayrullah
My Lord is enough for me, Glory be to Allah
There is nothing in my heart except Allah

Wo tanha kaun hai
Badshah wo kaun hai
Meherba wo kaun hai
Who is the only One?
Who is the King?
Who is the Merciful?

Kya unchi shan hai
Uskey sab nishan hai
Sab dilon ki jan hai
Who is the most praised and benevolent?
Whatever you see in this world is His sign
He’s the love of every soul

Noor wala aya hai

Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH

Jub thalak ye chand thaare jil milaathe jaayen ge
Thub thalak Jashne Wilaadath hum manaathe jaayan ge
Jub thalak ye chand thaare jil milaathe jaayen ge
Thub thalak Jashne Wilaadath hum manaathe jaayan ge
Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH

Un ke Aashiq Noor ki shamme julaathe jaayen ge
Jub ke faasiq burr buraathe dil jilaathe jaayen ge
Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH

Naathe Mehboob e khuda sunnthe sunaathe jaayen ge
Ya Rasoolallah  ha ka naara lagaathe jaayen ge
Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH

Chaar jaanib hum deeye ghee ke jalaathe jaayen ge
Ghar tho ghar saare mahalle ko sajaathe jaayen ge

Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLA

Hashar thak Jashne Wilaadath hum manaathe jaayen ge
Marhaba YA MUSTAFA ki dhoom machaathe jaayen ge
Noor Wala aya hai Noor le ker aya hai
saare alum mein ye dekho kaisa noor chaaya hai
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH
Asalatu Wasalamu Alaika Ya RASOOL ALLAH

Monday, January 12, 2015

Jab husn tha unka jalwanuma

Jab husn tha unka jalwanuma anwaar ka alam kya hoga
Har koi fida hai bin dikhe didar ka alam kya hoga

Ek samt ali ek samt umar siddique idhar usman udhar
in jagmag jagmag taro me sarkar ka alam kya hoga

jis waqt Halima ki godi anwaare khudase roshan thi
us waqt Halima dai ke gharbar ka alam kya hoga

jab unke gadabhar dete hai shahane zamana ki jholi
mohtaj ka jab ye alam hai to mukhtar ka alam kya hoga

chahe to ishare se apne kaya hi palat de duniya ki
ye shaan hai unke gulamo ki sardar ka alam kya hoga

sun sun ke sahaba ki baatein kuffar musalmahota hai
fir mere rasool e akram ki guftar ka alam kya hoga

taiba se hawae aati hai bekal ko suku mil jata hai
is paar ka jab ye alam hai to us paar ka alam kya hoga

Allah Salamat Rakhe

Allah Salamat Rakkhe Milaad Manane Walon ko
Allahumma Salle Ala Sayyedina Mohammadin

Sarkar Ki ulfat se Imaan ko Jagaye Ja
Sub Ahle Mohabbat ko Deewana Banaye Ja.

Aqa ne Rakha Roza Khud Apni Wiladat ka
Sunnat Hai Mohammed (Sallalahu Alaihi Wasallam) ki Is Din ko ManayeJa.

Touseef Nahi Mumkin us Fakhre Do Alaam ki
Naghme Hi Duroodoun kay aaj unke Sunaye Jaa.

Milaad ki Sa'at hai mil jayega jo maango
Ghar apna zara tu bhi jannat may banaye jaa.

unke rukhe e roshan ki tamseel ho kya mumkin
koi bhi nahi unsa yeh sub ko bataya jaa.

duniya ki mohabbat se is dil ko bachaye jaa
aaqa ki addaoun ko toh dil me basaye jaa

apne ne do alam may sarkar sahara hai
Bus unki mohabbat se daarein banaye jaa.

Jibreel ki sunnat hai is din toh uda parcham
aaqa ki wiladat par jhandoun ko lagaye jaa.

isiya ki tere baqshish toh chahe agar ahmed
bus unki mohabbat ko seene may basaye jaa.

Falak ke nazaro

Falak ke nazaro zameen ki baharo
Sub Eidein manao Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Uttho bay saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunao Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Anokha niraala woh zee shaan ayaa
Woh saray Rasoolaun ka Sultan ayaa
Aray baadshaho aray kaj kula'ho
Nigahein jhukao Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Sama hai sana e Habeeb e Khuda ka
Ye Meelad hai Sarwaray Ambiya ka
Nabi ke gadao sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Hawaun mein jazbaat hain Marhaba ke
fizaun mein naghmaat Salle'Alla ke
Daroodaun ke gajrey salamaun ke tohfay
Ghulamo sajaao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Huwaa char su Rahmataun ka ba'sayra
Ujaala ujaala sawera sawera
Halima ko pohnchi khabar Aaminah ki
mere ghar main aao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Kahaan mai Zahuri kahaan unki batein
Karam hi karam hain ye din aur ratein
Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
yahi kehte jaao, Huzoor agaye hain

Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain
Huzoor agaye hain, Huzoor agaye hain

Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko

Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya
Hamein bheek mangne ko Tera aastaan banaya
Tujhe hamd hai Khudaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Tumhein Haqim banaya Tumhein Qasim Aataya
Tumhein Shafe Aataya Tumhein Da'afe balaya
Koi Tum sa kon aaya?
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Wo kanwaari Pak Maryam wo Naf'ate fiya ka dam
Hai azab Nishaan-e-Aazam magar Aamina ka Jaya
Wohi sab se afzal aaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Yahi bole sidraa wale chaman-e-Jahaan kay thaale
Sabhi mein ne chan daale Teray pae ka naa paya
Tujhe yaq ne Yaq banaya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

"Fa Izaa Faraghta Fansab"(Quraanic Ayat) ye mila hai Tujh ko mansab
Jo gada bana choke ab otho waqte bakhshis Aaya
Karo qismat aataya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

"Wa Ilaa Rabika Farghab",karo arz sab kay matlab
keh Tuhein ko Takte hein sab karo un per Apna saya
Bano Shafeye Khataya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Aare Ay Khuda kay bando koi meray dil ko dhondoo
Meray paas tha abhi to abhi to abhi kya howa Khudaya
Na koi gia na Aaya

Hamein Ay Raza Teray dil ka pata chala ba mushkil
Dar-e-Rozae muqabil wo hamein nazar tou aaya
Ye na pocha kaisa paya
Wohi Rab hai jis ne Tujh ko hama tan Karam banaya

Kaun Shehre Makkah Me

Kaun Shehre Makkah Me Subha Subha Aaya Hai
Jiske Noor Se A'alam Saara Jagamagaya Hai

Ghaib Se Nida Aayi Aamena Mubarak Ho
Tune Rehmate Haq Se Noor Haq Ka Paaya Hai

Thi Nida Shab E Asra Udno Minne Mehboob
Be Dhadak Chale Aao, Humne Hi Bulaya Hai

Aql Sabki Hairaa Hain Dekh Kar Shahe Dee Ko
Ye Bashar To Hai Lekin, Kyu Na Inka Saaya Hai

Inna-ma Ana Basharum Mislokum Ke Parde Me
Haq Ne Apne Jalwo Ka Aayina Sajaya Hai

Ya Nabi Main Tumpar Kyu Na Jaano Dil Fida Kar Du
Humne Aapko Paa Kar To Khuda Ko Paaya Hai

Daaman E Nabi Aashiq Ab Na Humse Chootega
Humne Unse Jo Maanga, Wo Khuda Se Paaya Hai

Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja

Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Hind May Navve Lakh Ko Kalma Padhwaya
Hum Per Hai Ahsaan Tumhara Ya Khwaja

Saara Anasagar Kuze May Bhar Aaya
Sunte Hi Farmaan Tumhara Ya Khwaja

Aap Pe Hai Faizan Janab e Usman Ka
Hum Per Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

Faiz e Madina Milta Hai Ajmer Se Hi
Roza Hai Zeeshan Tumhara Ya Khwaja

Rahe Sunni Dawat e Islami
Ye To Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja

In Dono Per Khaas Karam Tum Farmana
Shakir Aur Rizwan Tumhara Ya Khwaja

Syed Ko Taibah Ki Galiya Dikhla Do
Hai Adnaa Darban Tumhara Ya Khwaja

Sohna Aaya

Waadi Waadi Basti Basti Deewano ka Naara
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Saani na Koi Mere Sohne Nabi Lajpaal Da
Lab ke liyawan kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Shaana'an Odhiyan Uchiyan Te Rutba Kamaal Da
Lab ke Lia'awaan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Kiun Na Sohne Diyan Sifta'an karan Main
Dam Dam Odha Kiun na Zikar Karan Main
Rab Ne Banaya Odha Rutba Kalam Da
Lab ke Lia'awaan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Sarkar ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Aaqa ki Amad Marhaba, Data ki Amad Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Pyaare ki Amad Marhaba
Dildar ki Amad Marhaba Manthar ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Pyaare ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Jaanan ki Amad Marhaba Zeeshan ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhab

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Mera Te Emaan Ae Tussi Mere Kool Ho
Aap Hi Rabb De Akhri Rasool Ho
Rabb Ne banarya Nahi Koi Tere Naal Da
Main Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Aida Sohna Nabi Koi Duniya Te Aaya Nahi
Yaar Aiho Jaya Koi Rabb Ne Banaya Nahi
Deed Mere Nabi Di Ae Rabb Da Nazaara

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Kar Ke Ishara Sohna Suraj Non Morda
Aape Chan Torda Te Aape Chan Jorda
Bigri Banawe Mere mere Nabi Da Ishaara

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Dainde Ne Gawahi Zarre Zarre Kohe Toor De
Wekhde Naseeba'an Wale Jalwe Huzoor De
Chaudwin da Chan Te Arshaan Da Taara

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Kehndi Ae Haleema Mukh Wekh Lajpaal De
Kehndi Ae Haleema Mukh Wekh Lajpaal De
Main Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da
Main Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Noori Noori Chehra Te Zulfa'an Ne Kaliyan
Sohna Uchcha Seena Te Akhiyan Ne pyaariyan
Shaana'an Odhiyan Uchiyan Te Rutba Kamal Da
Lab ke Lia'awan Kithon Sohna Tere Naal Da

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Sarkar ki Amad Marhaba Dildar Ki Amad Marhaba
Aaqa ki Amad Marhaba, Data ki Amad Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Pyaare ki Amad Marhaba
Dildar ki Amad Marhaba Manthar ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Pyaare ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhaba
Jaanan ki Amad Marhaba Zeeshan ki Amad Marhaba
Sab Jhoom Jhoom Kar Marhaba Lab Choom Choom ke Marhaba
Sohne ki Amad Marhaba Dildar ki Amad Marhab

Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar
Sohna Aaya Te Sajde ne Galiyan Bazaar

Tum Pe Sao Jaan Se Kurbaan Ya Rasoolallah

Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Fida hai tum pe meri jaan ya rasoolallah
Tumhi  ho deen aur imaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Tumhari naat ke sadqe me sarware aalam
Mili hai mujhko ye pehchan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Meri majal hi kya mai tumhari naat likhu
Tumhari madha hai Qur'an ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Mata e deen bhi duniya bhi hum ko tum se mili
Mila hai tumse hi Rehman ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Liya hai aapne daman me mujh se aasi ko
Bahot bada hai ye ehsaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Kise sunau mai sarkar dastane alam
Tumhi ho dard ke darmaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Tumhare rauza e anwar ki shaan kya kehna
Hai jibraeel bhi darbaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Khuda ki khalq me khulqe azeem tum jaisa
Nahi hai doosra insaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Nahi hai ahsanu minka koi zamane me
Ye keh chuke tere Hassan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Bulao jald Madine me dil tadapta hai
Madina dekh le Rizwan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah
Mera dil aur meri jaan ya rasoolallah
Tum pe sao jaan se kurbaan ya rasoolallah

Lau Madine Ki Tajalli Se Lagaye Hue Hai

Lau Madine ki tajalli se lagaye hue hai
Dil ko hum matlae anwaar banaye hue hai

Kashtiyan apni kinaare se lagaye hue hai
Kya wo doobe jo Muhammad ki tira'e hue hai

Sharme isiyan se nahi saamne jaya jata
Ye bhi kya kam hai tere sheher me aye hue hai

Ik jhalak aaj dikha gumbade khazra ke maki
Kuch bhi hai door se didar ko aye hue hai

Haaziro naaziro nooro bashar gaib ko chod
Shukr kar wo tere aibon ko chupaye hue hai

Naam ate hi Abubakro Umar ka lab par
Tu bigadta hai wo pehlu me sulaye hue hai

Qabr ki neend se uthna koi aasan na tha
Hum to mehshar me unhe dekhne aaye hue hai

Kyon na palda tere aamal ka bhari ho naseeb
Ab to mizaan pe sarkar bhi aaye hue hai

Sar pe rakh dijiye zara daste tasalli aakha
Gum ke maare hai zamane ke sataye hue hai

Teri nisbat hi to hai jiski badaulat hum log
Kufr ke daur me Imaan bachaye hue hai

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Jaano dil qurban hai wo to aashiqo ki jaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Mera ghar aulado jaan mehoob par qurbaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Zulf hai wallail unki wadduha rukhsar hai
Khulq hai unka azeem Qur'an ka shi'ar hai
Warafa'ana laka zikrak rab ka ye farmaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Chand ke tukde kiye sooraj firaya aap ne
Kankri bejaan thi kalama padhaya aapne
Maliko Mukhtar aaqa kaisa wo zeeshan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Har ghadi anwaaron rehmat ki waha barsaat hai
Jis jagah par jalwa farma Mustafa ki zaat hai
Nikle dum Taiba me Maula ye mera armaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Mere Maslak Ki Pehchan Ya Rasulallah

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Lo jhoom ke naam Muhammad ka
Ye naam suhana lagta hai
Is naam se raunaq hoti hai
Purnoor zamana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Hai dil ki ziya aankhon ki chamak
Is naam me hai kuch aisi mahak
Imaan ko mu'attar kar jaye
Khusboo ka khazana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Jo arsh pe Ahmed kehlaye
Wo zaate Muhammad hai beshak
Mehmood aur Haamid mere nabi
Hasnain ka naana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Ye naam waseela bakshish ka
Laraib zariya barkat ka
Wo khulqe azeem Allah Allah
Jo sabse yagana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Taha bhi wahi Yaseen bhi wahi
Wo Bashir-o-Nazeer hai salle ala
Barkat ka khazina naam e nabi
Har roz shabana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Naato ki sajate hai mehfil
Padhte hai salaamo ke nagme
Jab jab bhi liya hai naame nabi
Kya khoob tarana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Kya wasf likhe Rizwan unka
Hai jinka khuda khud madha sara
Kuch husne amal to paas nahi
Bas unka diwana lagta hai

Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah
Ye naara pyara lagta,ye naara pyara lagta hai
Har mehfil me ye sajta hai
Mere maslak ki pechan ya Rasulallah
Tere naam pe waaru jaan ya Rasulallah

Star Of The Eyes, Name Of Muhammad (s.a.w)

Star of the eyes, name of Muhammad
Light of the heart, name of Muhammad

Aankhon ka taara Naam-e-Muhammad
Dil ka ujala Naam-e-Muhammad

When Allah asks me what have you brought here
I will say I have name of Muhammad

Puchega Maula laya hai kya kya
Mai ye kahunga Naam-e-Muhammad

Allahu Akbar indeed my Lord
Wrote on everything name of Muhammad

Allahu Akbar rabbul ula ne
Har shai pe likha Naam-e-Muhammad

If you desire wealth of the worlds
Keep on just chanting name of Muhammad

Daulat jo chaho donon jahan ki
Karlo wazeefa Naam-e-Muhammad

Let me give my life for my Raza
Who taught me Indeed name of Muhammad

Apne Raza pe Qurban jaaoo
Jisne sikhaia Naam-e-Muhammad

Rizwan is shining because of Barakah
And the blessings of name of Muhammad

Mustafa Jaane Rehmat Peh Lakho Salaam

Mustafa jaane rehmat peh lakho salaam
Sham-e-bazm-e hidaayat peh lakho salaam

Hum ghareebon ke aaqa pe behad Durood
Hum faqeeron ke sarwat peh lakho salaam,

Jis ki tasqee se rote huwe has pare
Us Tabassum ki aadat peh lakho salaam

Door o nazdeek ke sunne wale wo kaan
Kaan e laal e karaamat peh lakho salaam

Jis ko baare wo aalam ki parwa nahin
Aise baazon ki kuwat peh lakho salaam

Ghaus-e-azam immaamat tuqa wan nuqa
Jalwa e shaan e qudrat peh lakho salaam

Hind ke baadshah deen kai wo moin
Khaawja e dinno millat peh lakho salaam

ek mera hi rehmat mai daawah nahin
Shah ki sari ummat peh lakho salaam

Kaash mehshar mai jab un ki aamad ho aur
Behje sab un ki shauqat peh lakho salaam

Mujhse kidmat ke kudsi kahe ha raza
Mustafa jaan e rehmat peh lakho salaam

Daal di qalba mai azmate Mustafa
Sayyadi Ala Hazrat peh lakho salaam

Gause Azam Ka Darbar

Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna
Baghdadi noorie baazar
Allah allah kya kehna

Tum ho hamare
Hum hai tumhare
Tum ho nabi ke pyaare
Har mushkil me gause azam
Tuhte dilo ke sahare
Ujhdo ko kar de gulzaar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Qutb auliya gaus qalandar
Ek se ek hai badhkar
Saare auliya denge salaami
Jayenge gaus ke dar par
Wo hai waliyo ke sardar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Chor ko palme wali banaya
Nazar se bighdi banayi
Dubi kashti bara baras ki
Palme paar lagayi
Budhiya kehti thi har bar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Aise gaus ka hai yeh hafiz
Chuute na haath de daman
Bighde kaam banaye aaqa
Qurban unpe tanman
Wo karte hai beda par
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Baghdadi noorie bazaar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Khakh e Taiba Mere Sine Se Laga Di Jaye

Khakh e taiba mere sine se laga di jaye
Haa basharat mujhe jannat ki suna di jaye

Mehfil e naat fir ek baar saja di jaye
Qalb e Dushman ki jalan aur bada di jaye

Hosh aayega na duniya ki dawao se mujhe
Naal e sarkar e do alam ki hawa di jaye

Jis pasine ki mahak makke ki galiyo me rachi
Wohi khusbo mujhe Ekbar sungha di jaye

Ibne khattab ko faruq banaya jisne
Wohi tasvir mere dil may bitha di jaye

Ishq gar jurm hai faansi ki saza do mujhko
Dar  e Mehboob pe lekin ye saza di jaye

Ya nabi mujko bhi haasil hai gulami ka sharaf
Meri naato me bhi tasi e raza di jaye

Hashr ke din mai sunau mere aaqa ki naate
Rab kahe nazmi ko firdos me jaa di jaye

Khakh e taiba mere sine se laga di jaye
Haa basharat mujhe jannat ki sunnat di jaye

Wara Fana Laka Zikrak

Wara Fana Laka Zikrak
Teri khushboo meri chadar
Tere tewar mera zewar
Tera shewa mera maslak
Wara Fana Laka Zikrak

Mai adhura tu mukammal
Mai  shikasta tu musalsal
Mai sukhanwar tu Paiambar
Mera maqtab tera ek pal
Wara Fana Laka Zikrak

Teri jhumbish mera khama
Tera nukhta mera naama
Teri midhat meri boli
Tu khazana mai hu jholi
Tera saya meri maya
Wara Fana Laka Zikrak

Tera jhoka meri dholi
Tera rasta mera haadi
Teri yaade meri waadi
Tere zarre mere deepak
Wara Fana Laka Zikrak

Mein hu qatra tu samandar
Meri duniya tere andar
Sage daata mera Naata
Na Wali hu na qalandar
Tere saaye me khade hai
Tere kadmo me pade hai
Mere jaise toh bade hai
Koi tujh sa nahi beshak
Wa Rafan Laka Zikrak

Tere dam se Dil e Mena
Kabhi faran kabhi seena
Na ho fir kyu teri khatir
Mera marna mera jeena
Yeh zameen bhi ho falak si
Nazar aaye jo dhanak si
Tere dar se meri chatak
Wara Fana Laka Zikrak

Meri sonche hu sawaali
Mera lehja ho Bilali
Shab e tiran kare tiran
Mere dil bhi ho visaali
Tera maktab ho mera fun
Rahe Ujla mera daaman
Na Ho mujh me Koi kalak
Wara Fana Laka Zikrak

Ya Allah Ya Rahman

Ya Allah Ya Rahman
Ya Allah Ya Rahman
Ya Allah Ya Rahman
Ya Allah………………….

Apne sajdo pe yakee(n) de hum ko
Abre Rehmat si zamee(n) de hum ko
Karde kuch aisa karam
Ke badal jaaye phir hum
Hum tere ho ke rahe
Tere raste pe chale
Ya Allah Ya Rahman

Ya Allah Ya Rahman……………..

Teri Rehmat ke talabgaar hai hum
Ye baja hai ke gunahgaar hai hum
Ha gunahgaar hai hum
Ha siyahkaar hai hum
Tu hai rahmano raheem
Tu hai gaffaro kareem
Ya Allah Ya Rahman

Ya Allah Ya Rahman……………….

Baat ban ban ke bigad jaati hai
Saari duniya hume thukrati hai
Muntashir kyu hai hum
Dagmagate hai qadam
Joshe Rehmat to dikha
Aasoo behte hai sada
Ya Allah Ya Rehman

Ya Allah Ya Rahman………………

Naara e Takbeer Allaho Akbar

Naara e takbeer allaho akbar

Baatil ke jab jab badle hai tevar
Aaya hai tab tab meri zaban par
Naara e takbeer allaho akbar

Pyaare nabi ne jina sikhaya
Bakhuda insan hum ko banaya
Pehnaya aklaq o iman ka zevar
Naara e takbeer allaho akbar

Khud bhi jiyo jinedo sabhiko
Iza na pahuchao khud se kisiko
Islam ka yahi darse munauwar
Naara e takbeer allaho akbar

Siddiq o faruq o usman o haidar
Ashabo azvajo shabbir o shabbar
In sab ka ehsan hum sab ke upar
Naara e takbeer allaho akbar

Baghdadi mehkhana chalta rahega
Ajmeri pyaala chalakta rahega
Noori miyan denge barkati sagar
Naara e takbeer allaho akbar

Mizan par aaqa hum ko bachaiyo
Daman me apne hum ko chupaiyo
Itna karam ya shafa e mehshar
Naara e takbeer allaho akbar

Rahe khuda me ghar ko lutaye
Deen e nabi pe sar ko kataye
Uqba ki daulat lute bhar bhar
Naara e takbeer allaho akbar

Sacche sada aqval hamare
Side sada aamal hamare
Tab hoga rab meherban hum par
Naara e takbeer allaho akbar

Arsh Se Aage Jaake Dikhao Fir Kehna Hum Jaise The

Arsh se aage jaake dikhao

Fir kehna hum jaise the

Noore mujassam ban ke dikhao

Fir kehna hum jaise the

Hazrat e jabir ki dawat me

Jese  hazaro sair huve

Dawat aisi tum bhi khilao

Fir kehna hum jaise the

Chand hua shak suraj palta

Unke ek ishare se

Tum bhi aisa kar ke dikhao

Fir kehna hum jaise the

Summa dana fatadalla unki

Qurb ki manzil ka hai bayaa

Hai gar himmat tum bhi jao

Fir kehna hum jesethe

Khub baha panjabe rahmat

Khub hue seraab sabhi

Pani aisa tum bhi pilao

Fir kehna hum jaise the

Hirni vapas loat ke ayee

Unse wafa ka dars diya

Aisi huqumat tum bhi chalao

Fir kehna hum jaise the

Inna aatayna kal kausar aur

Warafana laka zikrak

Sura e toaba padhte jao

Fir kehna hum jaise the

Shan he ye khuddame nabi

Ki murdo ko bhi zinda kiya

Tum bhi thokar se jilao

Fir kahna hum jaise the

Daste mubarak ki barkat se

Tuti haddo thok hui

Haath zara apna to badhao

Fir kehna hum jaise the

Puchh to rizwan unke adu se

Sano kaha se laoge

Aao zara saya toh dlkkhao

Fir kehna hum jaise the

Rukh Se Parda Ab Apne Uthado

Rukh se parda
Ab apne uthado
Jaaliyon par nigahe jami hai

Apna jalwa isi me dikhado
Apna jalwa isi me dikhado
Jaaliyon par nigahe jami hai

Gaus ul Azam ho Gaus ul Wara ho
Noor ho Noor e SalleAlah
Kya bayan aapka martaba ho
Dastagir aur Mushkil Kusha ho
Aaj deedar apna karado
Jaaliyon par nigahe jami hai

Sunn rahe hai wo fariyaad meri
Khaak hogi na barabaad meri
Mai kahi bhi maru shahe jilaan
Ruh pahuchegi Baghdad meri
Mujh ko parwas ke par laga do
Jaaliyon par nigahe jami hai

Ek mujrim sehakar hu mai
Har khata ka sazawar hu mai
Mere charo taraf hai andhera
Roshni ka talabgar hu mai
Ek diya hi samjh kar jala do
Ek diya hi samajh kar jala do
Jaaliyon par nigahe jami hai

Wajd me aayega sara alam
Jab pukarenge ya gaus ul azam
Wo nikal aayenge jaaliyon se
Aur kadmo me gir jayenge hum
Fir kahenge ke bigdi bana do
Jaaliyon par nigahe jami hai

Fikr dekho khayalat dekhao
Ye akidat ye jazbat dekho
Mai hu kya meri aukat dekho
Samne kaisi zaat hai dekho
Aay adeeb apne sar ko jhuka do
Jaaliyon par nigahe jami hai

Faslon ko khudara mitado
Jaaliyon par nigahe jami hai

Sarkar Jante Hai

Kis lab pe kya dua hai
Sarkar jante hai
Kiske dilo me kya hai
Sarkar jante hai

Murda hai ya ke zinda
Bachi hai ya ke bacha
Puqta hai ya ke kaccha
Aur kis ka Hai Ye nutfa
Kisko bhala khabar hai
Majbur Har Bashar hai
Maa ke shikham me kya hai
Sarkar jante hai

Shakhe khajoor lekar
Qabro pe dalte hai
Maiyat ki har saza ko
Palbhar me taalte hai
Murda hai kis Jaga ka
Iska hai majira kya
Qabro me haal kya hai
Sarkar jante hai

Mehraj ka safar hai
Sarkar jaa rahe hai
Aur LaMakaan pahuch kar
Tashreef laa rahe hai
Mehraj hai Hakiqat
Imaan hai yeh warna
Parde me kya rakha hai
Sarkar jante hai

Sidrah pe keke pahuche
Jibril sath chorde
Mujh ko na kuch pata hai
Kehte hai haath jode
Aage Huzoor jaye
Yeh meri intaha hai
Sidrah ke aage kya Hai
Sarkar jante hai

Kabhi Kaaf keh rahe hai
Kabhi Sa'ad keh rahe hai
Kabhi Ayn keh rahe hai
Kabhi Haa pe reh rahe hai
Jibril keh rahe hai
Yeh Raaz ki hai baate
Maana mafhoom kya hai
Sarkar jante hai

Sheshon ke ghar me rehkar
Pathar uchaalte hai
Ushaqe Mustafa toh
Taqdeer taalte Hai
Haamir Rab hai Khaliq
Par Mustafa hai Maalik
Qismat me kya likha hai
Sarkar jante hai

Har Des Main Gunjega Ab Ya Rasool Allah

Hum Sar Pe Kafan Bandhe Maidan Main Nikle Hain
Batil Ke Mehlon Ko Hum Dahne Nikle Hain

Himmath Hai Hame Toke Dam Hai To Hame Roko
Hum Naar-E-Risalath Ko Pehlane Nikle Hain

Har Des Main Gunjega Ab Ya Rasool Allah
Har Shaks Pukarega Ab Ya Rasool Allah

Hum Sari Duniya Main Halchal Si Machadenge
Sarkar Ke Aashiq Hai Rang Apna Jamadenge

Milad-E-Nabi Karna Ye Koon Main Shamil Hai
Is Mission Ki Qatir Hum Dil Raat Lagadenge

Sarkar Ki Naaton Se Pur Josh Hai Dewane
Milad Ki Mehfil Main Mahool Banadenge

Kyun Karna Manayen Hum Ye Sunni Saqafath hai
Milad Manane Par Sarkar Jagadenge

Sauda Na Kareinge Hum Imaan Na Bechenge
Naamus-E-Risalath Par Duniya Ko Hiladenge

Har Nasl Ka Naara Hai Har Qaum Ka Naara Hai
Is Naare Se Logon Ko Aapas Main Miladenge

Islam Jo Mazahab Hai Pegham-E-Mohabbath Hai
Is Aaman Ke Parcham Ko Har Ghar Main Jagadenge

 Sarkar Ki Izzat Par Marna Hai Hame Logon
Ye Wada Hamara Hai Sab Kuch Hi Lutadenge

Ham Ne Yehi Thani Hai Mannath Yehi Mani Hai
Is Des Ki Matti Par Koon Apna Bahadenge

Hai Aal-E-Nabi Piyare Ashaab Sitaren Hain
Dono Ki Mohabbath Ko Hum Dil Main Basadenge

Aayen Hain Ujagar Sang Amjad-O-Tahir Bhi
Pegham-E-Nabi Denge Aahkam-E-Khudadenge