Monday, January 12, 2015

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Jaano dil qurban hai wo to aashiqo ki jaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Mera ghar aulado jaan mehoob par qurbaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Zulf hai wallail unki wadduha rukhsar hai
Khulq hai unka azeem Qur'an ka shi'ar hai
Warafa'ana laka zikrak rab ka ye farmaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Chand ke tukde kiye sooraj firaya aap ne
Kankri bejaan thi kalama padhaya aapne
Maliko Mukhtar aaqa kaisa wo zeeshan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Har ghadi anwaaron rehmat ki waha barsaat hai
Jis jagah par jalwa farma Mustafa ki zaat hai
Nikle dum Taiba me Maula ye mera armaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

No comments:

Post a Comment